What Is Kd In Keyword Research?
Aksar log sirf high volume keywords par focus karte Hain lekin agar KD zadia ho to rank karna mushkil hota hai.
Achai keyword research ke liye low KD wale keyword target karein . Jo apki website ke liye relevant ho. Multiple SEO tools ka istamal karein aur long tail keywords par focus karein taake ranking improve ho.
KD (Keyword Difficulty) Kya Hai?
Keyword Difficulty ek SEO metric hai jo kisi keyword ki competition level ko dikhati hai. Yeh metric mukhtalif SEO tools, jaise ke Ahrefs, SEMrush, Moz, Ubersuggest waghera calculate karte hain. Yeh score 0 se 100 tak hota hai, jahan:
0-10 (Bohat Asaan): Is tarah ke keywords par rank karna bohot asaan hota hai, lekin inka search volume bhi kam hota hai.
11-30 (Asaan): In keywords par ranking kaafi asaan hoti hai, khas tor par naye bloggers ke liye.
31-50 (Medium): Is category ke keywords par competition barh jata hai, magar agar aapki website ka SEO strong hai to rank ho sakti hai.
51-70 (Mushkil): Yeh keywords ziada competitive hote hain aur sirf wo websites rank karti hain jo pehle se strong domain authority rakhti hain.
71-100 (Bohat Mushkil): In keywords par sirf bade brands ya high authority wali websites rank karti hain.
KD Ko Kaise Check Karein?
Agar aap kisi keyword ka KD check karna chahte hain, to aap SEO tools ka istemal kar sakte hain. Yeh kuch mashhoor tools hain jo aapko keyword difficulty check karne ki sahulat dete hain:
1. Ahrefs – Accurate KD score provide karta hai aur search volume bhi dikhata hai.
2. SEMrush – Is tool se aap kisi bhi keyword ki difficulty aur us ka competition analysis kar sakte hain.
3. Moz Keyword Explorer – Yeh bhi ek acha tool hai jo KD ke ilawa keyword suggestions bhi deta hai.
4. Ubersuggest – Free aur paid versions dono available hain, is se aap basic keyword difficulty check kar sakte hain.
KD SEO Mein Kyu Zaroori Hai?
Agar aap SEO-friendly content likhna chahte hain, to sirf high-search volume wale keywords ka istemal karna kaafi nahi hota. Aapko yeh bhi dekhna hota hai ke aap kisi keyword par rank kar sakte hain ya nahi. Agar aap naye hain, to aapko low KD wale keywords target karne chahiye taake aapki website jaldi rank ho sake. Agar aap sirf high KD wale keywords par kaam karenge, to aapko ranking milna mushkil ho sakta hai.
KD Ko Samajhne Ke Liye Tips
Low KD aur high search volume wale keywords target karein.
Apni website ki authority barhane ke liye quality backlinks banayein.
Long-tail keywords ka istemal karein, kyunki inka competition kam hota hai.
Har keyword ka sirf KD nahi, balki CPC (Cost Per Click) aur search intent bhi dekhein.